Menu
blogid : 8277 postid : 5

sachcha sukh

param aanand
param aanand
  • 15 Posts
  • 21 Comments

namaskar mere sathiyon, ye blog mere jiwan ka pahla blog hai, maine param aanand ki aanubhuti prapt ki hai.
main chahata hoon ki har manushya is param aanand ka anubhav kare kyon ki ye uska aadhikar
hai. pahle ye jan lete hain ki param aanand he kya? manushya me keval 2 anubhuti hoti hain
pahli shukh aur dusari dhukh. shukh men hum yani manushya aanand ko prapt karte hain, lekin
shukh kabhi bhi sthayi nahi hota isliye hamara aanad bhi chala jata hai, isi aanand ko jab hum
sthayi kar paten hain tab use param aanand kahte hain tab sansar ki koi shakti hamare aanad ko
mita nahi sakti. hamen kisi bhi vajah se, kisi bhi karan se , kisi bhi vyakti se , jo aanand prapt hota
hai, wo sthai nahi hota .
usi kuch miniton ke aanad ko hum kuchh simple tips se param aanand me badal sakte hai .
tantra, mantra , karne wale use prapt karte hain mantron se, sadhak sadhana se , bhakt bhakti se aur yogi yog se. sab par vishwash karo lekin? ” andhvishwash ” mat karo jo bhi bat vigyan ko nakare use aap bhi nakar do. kyon ki satya ”EK” hai wo sab me saman hai . vigyan jise subconsius mind kahta hai yog use awchetan kahta hai bich men rah jata hai ”Mann” bas yahi wo shakti hai jo humen sukh aur dhukh ka anubhav karati hai. man bahut chanchal hota hai
mann ko vash men karna koi mushkil kam nahi hai.. mushkil tab hoti hai jab hum bina jane samjhe hi mann ko dabane ka prayas karte hain. bhawanaon ko dabana nahi hai, ye janna hai ki ye bhawanayen aati kanha se hain, mann kis tarah se kam karta hai mann kyon karta hai , mann hota kya hai. maine sabhi yog, gyan ,vigyan dharm, karma kiye hain sirf shanti pane ke liye pahli bar kiya huaa kam mushkil hota he lekin mere anubhawon se jan manas ka bhala ho to kya burai hai. yah ek bahut hi sukshm prakriya hai aagar aap ko meri baten aachhi lagen to
me aagli bar me mann ko vash men karne ki kuchh aasan tips[upaye] bataunga. satya hi ishwar hai……..

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply